Insaf kay liye kahre nahi honge tau insaf mumkin nahi, Imran khan 07:30pm PST

Wednesday, 29 October 2014

SHARMILAPAN AUR US K NUKSANAT







Bachay khuda ki tarf se ak anmol tohfa hoty hain bacahy man k sachay hotay hain kch bachay  apnii masomiat bholpan  se sb ka dil jeet letay hain to kch apni zid sharart ki waja se logo ki trf tawajah ka bais bnjaty hain aur kch bachy aise hotay hain jo apni sharamilay pan ki waja se dunya me bht nazar andaz hotay hain .Bacho ko sharmila banany me asal hath un k waildan  ka hota hai usk ilwa unlogo ka bhi hota hai jo unk sath aksar.o.beshitar un k sath hotay hain ..Bacho ko sharmila bnany ki khani asal jb shuru hoti hai jb woh chota hota hai bolna sikhta hai samjhna sikhta hai is doran walidan bacho per tawaja na dain ya inki kahi hui galt bt na samjhi se kari hui bato/harkato  ka mazak urty hain isk lye maa bap ko chahye k bacho ko samjhyn and sahi galt ki samjh sikhyn bajae isk k usko nazarandaz kar k usko shrmidgi aur ehsas.e.kamtari ka shikr na karn..Sharmilay log aj kal mashre me bht nuksan utharhy hain. aj kal zamana agy barh rha hai chal rha hai aur is mukam per hai jahan agr koi bacha sharmila hai ya usk anadar koi kamzori hai to usko bht mushkilat ka samna karna parta hai .woh bacha dunya me sbse phechay khelata hai q k aj kal k dor me log bacho ki andar ki sharm dur karne k bajae uska mazak bnaty hain aur aise bachy aksar masail ka shikar hojaty hain aur khud ko tanha samjhny lgty hain bht se bachy sapni zat k andar kabo palaitey hain lekin kch bachay apny anadar sharmilay pan ko chubany ka hunar jan letay hain mgr andar se woh is bt ko apni zat per mehsos kar rhy hoty hain .Is hal me in k walidan ko chahye bacho ko milansar banye unk dost bnayn bchy k anadar se sharmilapan nikalny k lye unko mukhtalif jagain lekar jyn  unky dosto ko bola kar  mukhtailf muzown per bt chet karyn bachy ki nashunma k lye usk anadar k hunar ko nikaln apny sath bacho ko rakhn un per dehan dn aur apny bacho ko dosro k agay nhii dantn agr koi glti karn bachy to usko alag se samjhyn.Agr walidan apny bacho k sath dostana rawaiya rakhngy to agy bachy khud apni nai rahain talash karny me kamiab hongy.

FACEBOOK "aik nasha aur us k masail"

Halaat e hazira mai social networking sites to beshumaar hain jin mai se aik mashoor e zamana  Facebook bhi apne urooj per jati hui dikhai deti hai lekin ye aik bari bemari ban kar bhi samne arahi hai.Ye website 24 july 2004 mai wojood mai ai aur is k baani haward university k nafsiyaat parhne wale talib-e-ilm MARK ZUCKERBURG hain.Dunya k 212 mumalik mai taqreeban 1.3 crore logon ka facebook account hai jin mai se 618 laakh log rozana isey istemaal karte hain jab k 20 minute mai tasaweer,status updates aur bheje gaye peghamat ka apas mai tabadila hota hai.
18 se 34 saal tak k 48% log subha uthte hi apna facebook dekhte hain aur 28%  log apne smartphones k zarye bistar se nikalne se pehle apna account check karte hain.
 Is website per 69% khawateen games khelti hain aur aj kal ka mashoor tareen game criminal case hai.tehqeeq k mutabiq log apni har choti bari bat facebook per share karte hue nazar atey hain.
Agar ap apna facebook din mai do baar kholte hain ya apne apko phone k zarye facebook k notification dekhne se rok nahi parahe to iska asar seedha ap k dimagh per horaha hai jis k ba'is aap dimaghi beemariyon mai mubtila hosakte hai,Agar hum is nashe k itne aadi hochuke hain k daant saaf karne se pehle bhi isey dekhte hain to hum apni zindagi ka sukoon kho denge sath hi sath facebook logon ko samaaji sargarmiyon se dur karta hua dikhai deta hai,yahan tak k aik hi ghar mai rehne k bawujood bhi hum apne ghar walon aur rishtedaron ko sahi tareeqe se waqt nahi de paate aur yehi wajah hai k nau-jawan nasal per is k ghalat asraat murat'tib horahe hain.
Facebook ka nasha Cigrette ki manind hai k is ki adat dalna asan hai liken phir khatam chorna bohot hi mushkil hai.
Har cheez ka istemaal aik had tak hona chahye,jab tamam hudood uboor hojati hain to us cheez k ghalat asraat hone lagte hai aur yehi bat aesi tamam social networking sites k liye bhi hai jis ka beshumar istemaal hamein dimaghi tor per kamzor bana raha hai aur muashirey mai rishton ki ahmiat ko khatam kar raha hai.

Saturday, 25 October 2014

hamare mashray ka ikhlaqi zawal

Humare mashre me bht si ikhlaqi buraiyan janam le rhi hain aur hum jesay in k adi hochuke hain aur in ko hum ne apni zindagi ka  hisa bnlya hai logon main gandagi karne ka rujhan bht barh gay hai .jahan marzi aye kura kirkit  phenk detay hain yahan tak k itni kachra kundiyan  ban gain hain k log apny ghar ka pata btaty hain to khety hain k kacahre kundi wali gali  main hai .chalti gari main se kbhi bekar kagaz , kbhi pan ghutke kbhi kch.. ksi bhi nashawar  ashiya ka azadana istemal karty hain .. sb se bara almiya humare mashre main ikhlqi burai ka yeh hai k   aj kal logo me chotay baray ki tameez khochuki hai bason me safar karty hoye jawan khud beathjaty hain  aur koi bura ya mazoor shaks khara hota hai khud baethy hoty hain balke woh bht ayashana tarikay se cigratte noshi bhi karrhy hoty hain aur gali galoch to jesay har jumlay me am hi hochuki hai . aj kal k dor me har koi khud ko aflatoon  samjha beatha hai k sirf wohi sahi hai in hi baton ki waja se masharay main be rarawi barhti jarhi hai aur hum  ikhlaqi tanzul ka shikar horhy hain
Mazhabi phelo se dekha jaye to hum apny deen par ALLAh ki  batai hoi bato par bilkul amal nahi karrhy jabkay  gair mazhaab k log humare deen ki ikhlaqi iqtedar par  amal pera horhy hain aur taraki ki tarf jarhy hain is ki nisbat haumri qoum is tarhan ki rawishapna kar tanazuli ka shikar horhi hai aur is zawal ka sehbab karne wala koi nahi hai....

Sunday, 19 October 2014

Ishq-e-Haqeeqi


Insan ki zindagi bohat mukhtasar hoti hai aur har aam insan chahta hai kay wo apni is mukhtasar zindagi mai apni sari khuahishaat ko poora hota hua dekh lay. Is ki khuahishaat mai Paisa, Taraqqi, achi Mulazimat, Pur kholoos biwi/shohar aur Tabedaar bachay hote hain. Wo apni masroof tareen mamoolat-e-zindagi mai is qadar jakra hota hai kay use is kay ilawa kuch aur nazar nahi ata.
Magar aik khaas insan ki soch aam insan kay bar'aqas hoti hai. Wo apni aarzi zindagi se zaada abdi zindagi kay bare mai sochta hai. Use us zindagi ki zaada fikar hoti hai. Wo is kainaat kay aik aik zarre mai Allah ko talaash karta hai, Allah ki pervi karta hai aur Allah ki khushnoodgi hasil karna chahta hai, aur phir Allah bhi ese logon ko azmaish mai dalta hai. Phir parkhta hai kay kon hai jo ese halat mai bhi mojh hi se mang raha hai, mojh hi se madad ka talabgaar hai. aur beshak Allah ese logon ko nawazta bhi hai chahe dunyavi zindagi mai ya akhrivi zindagi mai.
Insan apni mukhtasar zindagi mai bohat talkh tajurbaat se guzarta hai. kuch log apne halat se samjhota kar lete hain aur kuch itne naumeed hojate hain kay pataal ki taraf girte chale jate hain, aur us waqt siwae Allah kay koi dosra uski madad nahi kar sakta.
Insan ishq-e-haqeeqi ki justuju mai jitna sir gardan rehta hai, uski piyaas utni hi barhti jati hai. Bohat se log ishq-e-haqeeqi ko samjh nahi paate, ya samjhna nahi chahte, ya inhe iski kabhi zarurut hi mehsoos nahi hoti. Aur jo insan ishq-e-haqeeqi ko samjh le phir use kisi aur sheh (cheez) ki talab nahi rehti.